Saturday, October 3, 2009

Bihar me shastriya sangeet ki parampara bahut purani hai. Vidyapati ki banayi geeton me ya bhojpur aur mithila ke warshon purani lok geeton me uski jhalak hi nahi milti par ye geet yah bhi batate hai ki yah parampara atyadhik prabal aur vikasit thi. Uniswi aur bisween shatabdi me bhi yah parampara surakshit aur sanrakshit thi. Bettia aur Darbhanga ke Dhrupadiye hon ya Gaya aur Patna ke thumri or tappa gayak unhe samanton ka sanrakshan prapt tha. Wadan ewam gayan pratha dono yahan pad majboot thi. Pakhawaj, tabla, sitar, sarod, israj ke kayi phankar yahan phal phool rahe the.


Swatantra ke baad bhi Shastriya sangeet me abhiruchi bani rahi. Paluskar sangeet samaroh ho ya dhrupad sangeet samaroh ya Patna ka Dusshera ka warshik samaroh, bharat ke sabhi guni phankar yahan pad aana pasand karte the aur unki yaadkar prastutiyan yahan ke sangetangyon aur rasikon keliye prerna swarup thi. Yahan par Bihar ke sangeetkar bhi apna phan prastut karte the aur is prakar se unka utsahwardhan hota tha. Par aaj ke samay me Bihar ki yah amulya parampara lupt ho rahi hai. Iska karan yahan ka mahaul - bihar ka sanskritik patan ewam kala ke prati samajik upeksha kahi ja sakti hai. Bihar me abhi bhi kayi sangeetkar aise hain jo is pratha ko atyant kathinayon ke bawjoot jiwit rakhe huye hain. Bettia ke Indra Kishore Mishra, Darbhanga ke Vidur Mallick, Gaya ke Goverdhan Mishra inme se hain. Pad Bihar me bhi unka samuchit samman nahi hota hai. Bihar me kuch badlao ke asar dikh rahe hain aur umeed hai ki kala ke prati bhi sarkar aur samaj me jagriti ayegi. Tabhi hum apni is dhani aur bahumulya parampara ko bacha payenge.


Bihar ke purane sangeetkaron me Ustad Altaf Hussain Khan, Pandit Ram Prasad Mishra, Zohrabai of Azamgarh, Dhelabai of Gaya, Pandit Yaduveer Mallick, Pandit Ram Chatur Mallick, Pandit Shyama Mallick, aur Banaili ke Kumar Shyamanand Singh ullekhniyan hain. Iske alawa wadan kala me bhi kayi awwal darze ke phankar huye jaise ki Pandit Balram Pathak, Pandit Pannalal Upadhyaya, Pandit Anokhelal Mishra, Mian Ali Kadar of Azamgarh.


Inki aur Bharat ke anya bhaagon me purani sangeet me ek pawitrata aur shudhta thi jo aaj ki sangeet me kayi baar nahi milti hai. Kalakar apni khushi ke liye gate the aur ras, tabiyat aur masti usme saaf jhalakti thi. Jaisa ki Banaili ke Kumar Shyamanand Singh kaha karte the “agar apne gane me masti nahi laaoge to dusro ko masti kya doge”. Sangeet unke liye ibadat thi aur jeewan pran thi. We sangeet ke jeete the. Dhan aur Khyati inke liye apradhan mahatwahin thi. Raagon ki shudhta, man ki swakchchta aur tabyat ki masti purani sangeet ko daivik uchayi take le jaati thi jahan par sunne walon ko bhi param divya aur awarnaniya antar tripti aur anand ka anubhav hota tha.

No comments:

Post a Comment